sehn-e-gulshan meñ chalī phir ke havā bismillāh
chashm-e-bad-dūr bahār aa.ī hai kyā bismillāh
mus.haf-e-ruḳh pe tire abrū-e-paivasta nahīñ
mū-qalam se yad-e-qudrat ne likhā bismillāh
is qadar thā vo nasha maiñ ki yakā-yak jo girā
maiñ na bolā pa mire dil ne kahā bismillāh
zulf us āriz-e-rañgīñ pe bikharne jo lagī
bol uThī muñh se vahīñ bād-e-sabā bismillāh
aaj gulshan meñ zarā paañv jo phislā us kā
gul hañsā ġhunche ne jaldī se kahā bismillāh
yaar qātil mire jo jo ki lagātā thā vaar
lab pe har zaḳhm ke nikle thī sadā bismillāh
shīsha o saaqī o sāġhar bhī hāzir haiñ 'nazīr'
mai-kashī kījiye ab der hai kyā bismillāh