Nazeer Akbarabadi

kai din se hum bhi hain dekhe use hum pe naz o itab hai

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
ka.ī din se ham bhī haiñ dekhe use ham pe naaz o itaab hai
kabhī muñh banā kabhī ruḳh phirā kabhī chīñ-jabīñ pe shitāb hai
hai phañsā jo zulf meñ us ke dil to batā deñ kyā tujhe ham-nashīñ
kabhī bal se bal kabhī ḳham se ḳham kabhī tāb-chīn se taab hai
vo ḳhafā jo ham se hai ġhuncha-lab to hamārī shakl ye hai ki ab
kabhī rañj-e-dil kabhī āh-e-jāñ kabhī chashm-e-ġham se pur-āb hai
nahīñ aatā vo jo idhar zarā hamīñ intizār meñ us ke yaañ
kabhī jhāñknā kabhī tāknā kabhī be-kalī pai.e-ḳhvāb hai
vo 'nazīr' ham se jo aa milā to phir us ghaḌī se ye aish haiñ
kabhī ruḳh pe ruḳh kabhī lab pe lab kabhī sāġhar-e-mai-e-nāb hai
Top Urdushayar.com