Nazeer Akbarabadi

gulzar hai daghon se yahan tan-badan apna

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
gulzār hai dāġhoñ se yahāñ tan-badan apnā
kuchh ḳhauf ḳhizāñ kā nahīñ rakhtā chaman apnā
ashkoñ ke tasalsul ne chhupāyā tan-e-uryāñ
ye āb-e-ravāñ kā hai nayā pairahan apnā
kis tarah bane aise se insāf to hai shart
ye vaz.a mirī dekho vo dekho chalan apnā
inkār nahīñ aap ke ghar chalne se mujh ko
maiñ chalne ko maujūd jo chhoḌo chalan apnā
maskan kā pata ḳhāna-ba-doshoñ se na pūchho
jis jā pe ki bas gir rahe vo hai vatan apnā
Top Urdushayar.com