mujh ko mire nasīb ne roz-e-azal se kyā diyā
daulat-e-do-jahāñ na dī ik dil-e-mubtalā diyā
dil hī nigāh-e-nāz kā ek adā-shanās thā
jalva-e-barq-e-tūr ne tuur ko kyuuñ jalā diyā
qabr meñ jab kisī tarah dil kī taḌap na kam huī
yād-e-ḳhirām-e-nāz ne hashr kā aasrā diyā
roz-e-jazā gila to kyā shukr-e-sitam hī ban paḌā
haa.e ki dil ke dard ne dard ko dil banā diyā
ab mirī laash par huzūr maut ko koste to haiñ
aap ko ye bhī hosh hai kis ne kise miTā diyā
dil meñ samā ke phir ga.ī aas bañdhā ke phir ga.ī
aaj nigāh-e-dost ne kaaba banā ke Dhā diyā
uf ki gunāhgār ham haiñ to magar ḳhatā muaaf
aaTh pahar ke dard ne dil hī to hai dukhā diyā
aap ham apnī aag meñ ai ġham-e-ishq jal bujhe
aag lage is aag ko phūñk diyā jalā diyā
yuuñ na kisī tarah kaTī jab mirī zindagī kī raat
chheḌ ke dāstān-e-ġham dil ne mujhe sulā diyā
girya-e-ātshīñ kī daad de shab-e-ġham to kaun de
ḳhud sar-e-shām kyā bujhī sham.a ne dil bujhā diyā
yaas ne dard hī nahīñ haq to ye hai davā bhī dī
'fānī'-e-nā-umīd ko maut kā aasrā diyā