nigah ke sāmne us kā jūñhī jamāl huā
vo dil hī jaane hai us dam jo dil kā haal huā
agar kahūñ maiñ ki chamkā vo barq kī mānind
to kab masal hai ye us kī jo be-misāl huā
qarār o hosh kā jaanā to kis shumār meñ hai
ġharaz phir aap meñ aanā mujhe muhāl huā
idhar se bhar diyā mai ne nigāh kā sāġhar
udhar se zulf kā halqa gale kā jaal huā
bahār-e-husn vo aa.e nazar jo us kī 'nazīr'
to dil vahīñ chaman-e-ishq meñ nihāl huā