jo pūchhā maiñ ne yaañ aanā mirā manzūr rakhiyegā
to sun kar yuuñ kahā ye baat dil se duur rakhiyegā
bahut roiiñ ye āñkheñ aur paḌī din raat rotī haiñ
ab in ko chashm bhī kījegā yā nāsūr rakhiyegā
jo parda bazm meñ muñh se uThāte ho to ye kah do
ki phir yaañ sham.a ke jalne kā kyā mazkūr rakhiyegā
diyā dil ham ne tum ko aur to ab kyā kaheñ lekin
ye vīrāna tumhārā hai use ma.amūr rakhiyegā
'nazīr' ab to dil-o-jāñ se tumhārā ho chukā banda
miyāñ apne ġhulāmoñ meñ use mash.hūr rakhiyegā