Nazeer Akbarabadi

lipaT lipaT ke main us gul ke sath sota tha

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
lipaT lipaT ke maiñ us gul ke saath sotā thā
raqīb sub.h ko muñh āñsuoñ se dhotā thā
tamām raat thī aur kuhniyāñ o lāteñ thiiñ
na sone detā thā mujh ko na aap sotā thā
jo baat hijr kī aatī to apne dāman se
vo aañsū poñchhtā jaatā thā aur maiñ rotā thā
masaktī cholī to logoñ se chhup ke siine ko
vo taage baTtā thā aur maiñ suuī pirotā thā
ġharaz dikhāne ko aan o adā ke sau aalam
vo mujh se paañv dhulātā thā aur maiñ dhotā thā
liTā ke siine pe chanchal ko pyaar se har-dam
maiñ gudgudātā thā hañs hañs vo zo.af khotā thā
vo mujh pe pheñktā paanī kī kulliyāñ bhar bhar
maiñ us ke chhīñToñ se to pairahan bhigotā thā
nahāne jaate to phir aah kartī chhīñToñ se
vo ġhote detā thā aur maiñ use Dubotā thā
huā na mujh ko ḳhumār āḳhir un sharāboñ kā
'nazīr' aah isī roz ko maiñ rotā thā
Top Urdushayar.com