Nazeer Akbarabadi

agar hai manzur ye ki howe hamare sine ka dagh ThanDa

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830

agar hai manzūr ye ki hove hamāre siine daaġh ThanDā

to aa lipaTiye gale se ai jaañ jhamak se kar jhap charāġh ThanDā

ham aur tum jaañ ab is qadar to mohabbatoñ meñ haiñ ek tan man

lagāyā tum ne jabīñ pe sandal huā hamārā dimāġh ThanDā

laboñ se lagte ho ga.ī thī tamām sardī dil-o-jigar meñ

diyā thā saaqī ne raat ham ko kuchh aise mai ayāġh ThanDā

daraḳht bhīge haiñ kal ke meñh se chaman chaman meñ bharā hai paanī

jo sair kiije to aaj sāhab ajab tarah hai baaġh ThanDā

vahī hai kāmil 'nazīr' is vahī hai raushan-dil ai azīzo

havā se duniyā jis ke dil na hove hargiz charāġh ThanDā

Top Urdushayar.com