Nazeer Akbarabadi

mil kar sanam se apne hangam-e-dil-kushai

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
mil kar sanam se apne hañgām-e-dil-kushā.ī
hañs kar kahā ye ham ne ai jaañ basant aa.ī
sunte hī us parī ne gul gul shagufta ho kar
poshāk-e-zar-fishānī apnī vahīñ rañgā.ī
jab rañg ke aa.ī us ke poshāk-e-pur-nazākat
sarsoñ kī shāḳh par kal phir jald ik mañgā.ī
ik pañkhuḌī uThā kar nāzuk se uñgliyoñ meñ
rañgat ko us kī apnī poshāk se milā.ī
jis dam kyā muqābil kisvat se apnī us ko
dekhā to is kī rañgat us par huī sivā.ī
phir to ba-sad-masarrat aur sau nazākatoñ se
nāzuk badan pe apne poshāk vo khapā.ī
Top Urdushayar.com