Nazeer Akbarabadi

na-KHush dikha ke jis ko naz-o-itab kije

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
nā-ḳhush dikhā ke jis ko nāz-o-itāb kiije
ai mehrbāñ phir us ko ḳhush bhī shitāb kiije
jo apne mubtalā hoñ aur dil se chāhte hoñ
lāzim nahīñ phir un se rukiye hijāb kiije
baiThe jo shaam tak ham bolā vo mehrbāñ ho
jo ḳhvāhisheñ haiñ un kā kuchh intiḳhāb kiije
ham ne 'nazīr' hañs kar us shoḳh se kahā yuuñ
haiñ ḳhvāhisheñ to itnī kyā kyā hisāb kiije
mauqe kī ab to ye hai jo vaqt-e-shab hai ai jaañ
ham baiThe paañv dābeñ aur aap ḳhvāb kiije
Top Urdushayar.com