Nazeer Akbarabadi

sahar humne chaman-andar ajab dekha kal ek dilbar

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
sahar ham ne chaman-andar ajab dekhā kal ik dilbar
sahī qāmat parī-paikar muqattā-vaz.a ḳhush-manzar
suḳhan-bar ġhuncha-lab gul-rū jabīn-e-mahar aur kamāñ-abrū
do chashm-e-shoḳh pur-jādū nigah tiir aur mizha nashtar
shamīm-e-zulf mushk-e-afshāñ taġhāful sau sitam-sāmāñ
ġhurūr aur nāz-e-be-pāyāñ mizāj aur tab.a nāzuk-tar
adā.eñ sab fusūñ-ā.īñ na chhoḌeñ dil na chhoḌeñ diiñ
fareb-o-ishva sulh-āgīñ itāb-o-ġhamza jañg-āvar
ye dekhā ham ne jab aalam to rakh dil haath par hamdam
kahā haiñ nazr karte ham jo le liije to hai behtar
kahā le jā tū apnā dil ki tū kyā aur terā dil
na leveñ ham to aisā dil kahā jab ham ne yuuñ hañs kar
yahī ik dil hai bechārā bhalā hai yā ki nākāra
agarche hai ye āvāra va lekin hai vafā-parvar
jo nā-manzūr karte ho to kar do ye kab uThtā hai
hai jab tak dam meñ dam us ke rahegā ye usī dar par
'nazīr' us ne sunā ye jab to bolā yuuñ vo shīrīñ-lab
hamārā ho chukā ye ab bas is qisse ko kotah kar
Top Urdushayar.com