Nazeer Akbarabadi

hain dam ke sath ishrat o usrat hazar-ha

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
haiñ dam ke saath ishrat o usrat hazār-hā
vābasta ek tār-e-nafas se haiñ tār-hā
kuchh said-zaḳhm-ḳhurda-e-jānāñ hamīñ nahīñ
har said-gah meñ us kī haiñ bismil shikār-hā
aayā vo jab to ham na rahe aap meñ ġharaz
dekhā isī tarah se use ham ne bār-hā
us gul ke chāk-e-jeb kī hasrat se baaġh meñ
har sub.h chaak hotī haiñ jeb-o-kanār-hā
us sozan-e-mizha ke tasavvur meñ shāna-sāñ
TuuTe haiñ ek ḳhalq ke pahlū meñ ḳhār-hā
kis kis kī dekhiye chaman-e-san.a meñ bahār
apnī faqat do chashm haiñ aur yaañ bahār-hā
the kal ye ḳhatt-e-āriz-e-ḳhūbān-e-sabza-rañg
kahte haiñ aaj ḳhalq jinheñ sabza-zār-hā
the kal ye shāhidān-e-sahī sarv-o-sīm-tan
shāhid haiñ aaj marg ke jin ke mazār-hā
sab ko 'nazīr' sonā hai ek din ba-zer-e-ḳhāk
sañg-e-mazār us ke haiñ ā.īna-dār-hā
Top Urdushayar.com