Fani Badayuni

jalwa-e-ishq haqiqat thi husn-e-majaz bahana tha

Fani Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1879-1941
jalva-e-ishq haqīqat thī husn-e-majāz bahāna thā
sham.a jise ham samjhe the sham.a na thī parvāna thā
shobade āñkhoñ ke ham ne aise kitne dekhe haiñ
aañkh khulī to duniyā thī band huī afsāna thā
ahd-e-javānī ḳhatm huā ab marte haiñ na jiite haiñ
ham bhī jiite the jab tak mar jaane kā zamāna thā
dil ab dil hai ḳhudā rakkhe saaqī ko mai-ḳhāne ko
varna kise mālūm nahīñ TuuTā sā paimāna thā
'fānī' ko kaisā hī sahī phir bhī tujhī se nisbat thī
dīvāna thā thā kis kā terā hī dīvāna thā
Top Urdushayar.com