khīñch kar is māh-rū ko aaj yaañ laa.ī hai raat
ye ḳhudā ne muddatoñ meñ ham ko dikhlā.ī hai raat
chāñdnī hai raat hai ḳhalvat hai sehn-e-bāġh hai
jaam bhar saaqī ki ye qismat se haath aa.ī hai raat
be-hijāb aur be-takalluf ho ke milne ke liye
vo to Thahrāte the din par ham ne Thahrā.ī hai raat
jab maiñ kahtā huuñ kisī shab ko to kāfir yaañ bhī aa
hañs ke kahtā hai miyāñ haañ vo bhī banvā.ī hai raat
kyā maza ho haath meñ zulfeñ hoñ aur yuuñ pūchhiye
ai mirī jaañ sach kaho to kitnī ab aa.ī hai raat
jab nashe kī lahr meñ baal us parī ke khul ga.e
sub.h tak phir to chaman meñ kyā hī lahrā.ī hai raat
daur meñ husn-e-bayāñ ke ham ne dekhā bār-hā
ruḳh se ghabrāyā hai din zulfoñ se ghabrā.ī hai raat
hai shab-e-vasl aaj to dil bhar ke sovegā 'nazīr'
us ne ye kitne dinoñ meñ aish kī paa.ī hai raat