nīchī nigah kī ham ne to us ne muñh ko chhupānā chhoḌ diyā
kuchh jo huī phir ūñchī to ruḳh se parda uThānā chhoḌ diyā
zulf se jakḌā pahle to dil phir us kā tamāsha dekhne ko
nazroñ kā us par sehr kiyā aur kar ke divānā chhoḌ diyā
us ne uThāyā ham pe tamāñcha ham ne haTāyā muñh ko jo aah
shoḳh ne ham ko us din se phir naaz dikhānā chhoḌ diyā
baiTh ke nazdīk us ke jo ik din paañv ko ham ne chuum liyā
us ne hameñ bebāk samajh kar lutf jatānā chhoḌ diyā
phir jo ga.e ham milne ko us ko dekh ke us ne ham ko 'nazīr'
yuuñ to kahā haañ aao jī lekin paas biThānā chhoḌ diyā