Nazeer Akbarabadi

kabhi to aao hamare bhi jaan koThe par

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
kabhī to aao hamāre bhī jaan koThe par
liyā hai ham ne akelā makān koThe par
khaḌe jo hote ho tum aan aan koThe par
karoge husn kī kyā tum dukān koThe par
tumheñ jo shaam ko dekhā thā baam par maiñ ne
tamām raat rahā merā dhyān koThe par
yaqīñ hai balki mirī jaan jab ki niklegī
to aa rahegī tumhāre hī jaan koThe par
mujhe ye Dar hai kisī kī nazar na lag jaave
phiro na tum khule bāloñ se jaan koThe par
bashar to kyā hai farishte kā jī nikal jaave
tumhāre husn kī dekh ān-bān koThe par
jhamak dikhā ke hameñ aur bhī phañsānā hai
jabhī to chaḌhte ho tum jaan jaan koThe par
tumheñ to kyā hai va-lekin mirī ḳharābī ho
kisī kā aan paḌe ab jo dhyān koThe par
go chūne-kārī meñ hotī hai surḳhī to aisī
kisī ke ḳhuun kā ye hai nishān koThe par
ye aarzū hai kisī din to apne dil kā dard
kareñ ham aan ke tum se bayān koThe par
laḌāo ġhair se āñkheñ kaho ho ham se aah
ki thā hameñ to tumhārā hī hai dhyān koThe par
ḳhudā ke vāste itnā to jhuuT mat bolo
kahīñ na TuuT paḌe āsmān koThe par
kamand zulf kī laTkā ke us sanam ne 'nazīr'
chaḌhā liyā mujhe apne nidān koThe par
Top Urdushayar.com