Nazeer Akbarabadi

ada ke tausan par us sanam ko jo aaj humne sawar dekha

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830

adā ke tausan par us sanam ko jo aaj ham ne savār dekhā

to hilte Tuk inaañ ke kyā kyā kuchalte sabr-o-qarār dekhā

jhapak pe mizhgāñ ke jab nigah to us ne ik pal meñ hosh uḌāyā

jo chashm-o-ġhamza tarz dekhī to jaadū is shi.ār dekhā

jo dekhī us vo teġh-e-abrū to ko haibat ne aan gherā

nigah jo kākul ke daam par to dil ko is shikār dekhā

hinā jo hāthoñ meñ us ke dekhī to rañg dil huā ajab kuchh

kamar bhī dekhī to aisī nāzuk ki ho bhī is par nisār dekhā

vo dekh letā hamārī jānib to is meñ hotī kuchh aur ḳhūbī

par us ne hargiz idhar na dekhā 'nazīr' ham ne hazār dekhā

Top Urdushayar.com