Nazeer Akbarabadi

jo aawe munh pe tere mahtab hai kya chiz

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
jo aave muñh pe tire māhtāb hai kyā chiiz
ġharaz ye maah to kyā āftāb hai kyā chiiz
ye pairahan meñ hai is gore gore tan kī jhalak
ki jis ke sāmne motī kī aab hai kyā chiiz
bhulā diiñ ham ne kitābeñ ki us parī-rū ke
kitābī chehre ke aage kitāb hai kyā chiiz
tumhāre hijr meñ āñkheñ hamārī muddat se
nahīñ ye jāntīñ duniyā meñ ḳhvāb hai kyā chiiz
'nazīr' hazrat-e-dil kā na kuchh khulā ahvāl
maiñ kis se pūchhūñ ye nudrat-ma.āb hai kyā chiiz
jo saḳht hove to aisā ki koh aahan kā
jo narm hove to barg-e-gulāb hai kyā chiiz
ghaḌī meñ sañg ghaḌī mom aur ghaḌī faulād
ḳhudā hī jaane ye ālī-janāb hai kyā chiiz
Top Urdushayar.com