andāz kuchh aur nāz-o-adā aur hī kuchh hai
jo baat hai vo nām-e-ḳhudā aur hī kuchh hai
na barq na ḳhurshīd na sho.ala na bhabhūkā
kyuuñ sāhibo ye husn hai yā aur hī kuchh hai
billor kī chamkeñ haiñ na almās kī jhamkeñ
us gore se siine kī safā aur hī kuchh hai
pīchhe ko nazar kī to vo guddī hai qayāmat
aage ko jo dekhā to gilā aur hī kuchh hai
siine pe kahā maiñ ne ye do seb haiñ kyā haiñ
sharmā ke ye chupke se kahā aur hī kuchh hai
tum bāteñ hameñ kahte ho aur sunte haiñ ham chup
apnī bhī ḳhamoshī meñ sadā aur hī kuchh hai
haiñ aap kī bāteñ to shakar-rez par ai jaañ
is gūñge ke guḌ meñ bhī mazā aur hī kuchh hai
pūchhī jo davā ham ne tabīboñ se to bole
bīmārī nahīñ hai ye balā aur hī kuchh hai
unnāb na ḳhutmī na banafsha na ḳhiyārīn
is Dhab ke marīzoñ kī davā aur hī kuchh hai
ham ko to 'nazīr' un se shikāyat hai jafā kī
aur un kā jo suniye to gila aur hī kuchh hai