dil Thahrā ek tabassum par kuchh aur bahā ai jaan nahīñ
gar hañs diije aur le liije to fā.eda hai nuqsān nahīñ
ye naaz hai yā istiġhnā hai yā tarz-e-taġhāful hai yaaro
jo laakh koī taḌpe siske fariyād kare kuchh dhyān nahīñ
jab suntā hai ahvāl mirā yuuñ kahtā hai ayyārī se
hai kaun vo us se ham ko to kuchh jaan nahīñ pahchān nahīñ
kuchh ban nahīñ aatā kyā kiije kis taur se miliye ai hamdam
vo dekh hameñ ruk jaatā hai aur ham ko chain ik aan nahīñ
tar dekh ke merī āñkhoñ ko ye baat sunātā hai hañs kar
haiñ kahte jis ko chaah miyāñ vo mushkil hai āsān nahīñ
dil phañs kar us kī zulfoñ meñ tadbīr rihā.ī kī mat kar
kab chhūTā us ke daam se tū vo daanā hai nādān nahīñ