Nazeer Akbarabadi

kuchh aur to nahin hamein is ka ojab hai ab

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
kuchh aur to nahīñ hameñ is kā ojab hai ab
ya.anī vo shoḳh ham se ḳhafā be-sabab hai ab
āh-o-fuġhān-o-girya-o-andoh o dard o daaġh
jo jins-e-ishq hai vo mire paas sab hai ab
dekhe se jis ke ġhuncha-sifat gul ho rashk hai
aisā to is janam meñ vahī ġhuncha-lab hai ab
sub.h-e-falak bhī jis kī tajallī se ho ḳhajil
us rashk-e-māhtāb se apnī vo shab hai ab
ā.īna ek dam nahīñ rakhtā hai haath se
aisā vo apne ruḳh kā tamāshā-talab hai ab
us gul-badan ke vasl se har dam 'nazīr' ko
sab se ziyāda ḳhalq meñ aish-o-tarab hai ab
Top Urdushayar.com