Nazeer Akbarabadi

beja hai rah-e-ishq mein ai dil gila-e-pa

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
bejā hai rah-e-ishq meñ ai dil gila-e-pā
ye aur hī manzil hai nahīñ marhala-e-pā
hañgām-e-ḳhirām us ke hujūm-e-dil-e-ushshāq
ġhash-karda haiñ Thokar ke bahar-fāsla-e-pā
kal bosa-e-pā ham ne liyā thā so na aayā
shāyad ki vo bosa hī huā ābla-e-pā
us pā kī rah-e-rashk meñ nāzuk qadmoñ ke
phirte haiñ bhaTakte hue sau qāfila-e-pā
sau naaz se Thokar ba-sar-e-arsh lagānā
us gul ke sivā kis kā hai ye hausla-e-pā
gul-barg pe rakhte hī qadam hañs ke jo khīñchā
shāyad huī saḳhtī se rag-e-gul ḳhila-e-pā
dil se rah-e-dil-bastagī kab tai ho 'nazīr' aah
vo zulf-e-musalsal jo na ho silsila-e-pā
Top Urdushayar.com