dil har ghaḌī kahtā hai yuuñ jis taur se ab ho sake
uTh aur sambhal ghar se nikal aur paas us chanchal ke chal
dekhī jo us mahbūb kī ham ne jhalak hai kal kī kal
paa.ī har ik ta.avīz meñ apne dil-e-bekal kī kal
jab naaz se hañs kar kahā us ne are chal kyā hai tū
kyā kyā pasand aa.ī haiñ us nāznīñ chanchal kī chal
hai vo kaf-e-pā narm-tar us kī ki vaqt-e-ham-sarī
Daale kaf-e-pā-e-sanam narmī vahīñ maḳhmal kī mal
ham haiñ tumhāre mubtalā muddat se hai ye aarzū
baiTho hamāre paas bhī ai jaañ kabhī ik pal kī pal
hai dam ġhanīmat ai 'nazīr' ab mai-kade meñ baiTh kar
tū aaj to mai pī miyāñ phir dekh liijo kal kī kal