Nazeer Akbarabadi

aish kar KHuban mein ai dil shadmani phir kahan

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
aish kar ḳhūbāñ meñ ai dil shādmānī phir kahāñ
shādmānī gar huī to zindagānī phir kahāñ
jis qadar piinā ho pī le paanī un ke haath se
āb-e-jannat to bahut hogā ye paanī phir kahāñ
lazzateñ jannat ke meve kī bahut hoñgī vahāñ
phir ye mīThī gāliyāñ ḳhūbāñ kī khānī phir kahāñ
vaañ to haañ hūroñ ke gahne ke bahut hoñge nishāñ
in parī-zādoñ ke chhalloñ kī nishānī phir kahāñ
ulfat-o-mahr-o-mohabbat sab haiñ jīte-jī ke saath
mehrbāñ hī uTh ga.e ye mehrbānī phir kahāñ
vaa.iz o nāseh bakeñ to un ke kahne ko na maan
dam ġhanīmat hai miyāñ ye naujavānī phir kahāñ
jā paḌe chup ho ke jab shahr-e-ḳhamoshāñ meñ 'nazīr'
ye ġhazal ye reḳhta ye sher-ḳhvānī phir kahāñ
Top Urdushayar.com