Nazeer Akbarabadi

jab ham-nashin hamara bhi ahd-e-shabab tha

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
jab ham-nashīñ hamārā bhī ahd-e-shabāb thā
kyā kyā nashāt-o-aish se dil kāmyāb thā
hairat hai us kī zūd-ravī kyā kaheñ ham aah
naqsh-e-tilism thā vo koī yā habāb thā
thā jab vo jalva-gar to dil-o-jāñ meñ dam-ba-dam
ishrat kī had na aish-o-tarab kā hisāb thā
the bāġh-e-zindagī ke usī se hī āb-o-rañg
dīvān-e-umr kā bhī vahī intiḳhāb thā
apnī to fahm meñ vahī hañgām ai 'nazīr'
majmūa-e-hayāt kā lubb-e-lubāb thā
Top Urdushayar.com