duniyā-e-husn-o-ishq meñ kis kā zuhūr thā
har aañkh barq-pāsh thī har zarra tuur thā
merī nazar kī aaḌ meñ un kā zuhūr thā
allāh un ke nuur kā parda bhī nuur thā
thī har taḌap sukūn kī duniyā liye hue
pahlū meñ aap the ki dil-e-nā-subūr thā
ham kushtagān-e-ġham pe ye ilzām-e-zindagī
be-mehr kuchh to pās-e-haqīqat zarūr thā
bālīñ pe tum jab aa.e to aa.ī vo maut bhī
jis maut ke liye mujhe jiinā zarūr thā
thī un ke rū-ba-rū bhī vahī shān-e-iztirāb
dil ko bhī apnī vaz.a pe kitnā ġhurūr thā
lutf-e-hayāt be-ḳhalish-e-mudda.ā kahāñ
yaanī ba-qadr-e-talḳhi-e-sahbā surūr thā
uTh kar chale to hashr bhī uThnā thā kyā zarūr
un kī galī se madfan-e-'fānī' to duur thā