Nazeer Akbarabadi

nikle ho kis bahaar se tum zard-posh ho

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
nikle ho kis bahār se tum zard-posh ho
jis kī naved pahuñchī hai rañg-e-basant ko
dī bar meñ ab libās-e-basantī ko jaise jā
aise hī tum hamāre bhī siina se aa lago
gar ham nashe meñ bosa kaheñ do to lutf se
tum paas muñh ko lā ke ye hañs kar kaho ki lo
baiTho chaman meñ nargis o sad-barg kī taraf
nazzāra kar ke aish-o-masarrat kī daad do
sun kar basant mutrib-e-zarrīn-libās se
bhar bhar ke jaam phir mai-e-gul-rañg ke piyo
kuchh qumriyoñ ke naġhma ko do sāme.a meñ raah
kuchh bulbuloñ kā zamzama-e-dil-kushā suno
matlab hai ye 'nazīr' kā yuuñ dekh kar basant
ho tum bhī shaad dil ko hamāre bhī ḳhush karo
Top Urdushayar.com