Nazeer Akbarabadi

kis ke liye kijiye jama-e-diba-talab

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
kis ke liye kījiye jāma-e-dībā-talab
dil to kare hai mudām dāman-e-sahrā-talab
kaam ravā hoñ bhalā us se ham ab kis tarah
us ko tamannā nahīñ ham haiñ tamannā-talab
kis se kahīñ kyā kareñ hai ye tamāshā kī baat
vo to hai parda-nashīñ ham haiñ tamāshā-talab
kahiye to kis kis ke ab ġhaur kare vo tabīb
jis ke talabgār hoñ laakh mudāvā-talab
ek tamannā ho to yaar se kahiye 'nazīr'
dil hai pur-az-ārzū kījiye kyā kyā talab
Top Urdushayar.com