rahe jo shab ko ham us gul ke saat koThe par
to kyā bahār se guzrī hai raat koThe par
ye dhūm-dhām rahī sub.h tak ahā-hā-hā
kisī kī utrī hai jaise barāt koThe par
makāñ jo aish kā haath aayā ġhair se ḳhālī
paTe ke chalne lage phir to haat koThe par
girāyā shor kiyā gāliyāñ diiñ dhuum machī
ajab tarah kī huī vārdāt koThe par
likheñ ham aish kī taḳhtī ko kis tarah ai jaañ
qalam zamīn ke uupar davāt koThe par
kamand zulf kī laTkā ke dil ko le liije
ye jins yuuñ nahīñ aane kī haat koThe par
ḳhudā ke vāste ziine kī raah batlāo
hameñ bhī kahnī hai kuchh tum se baat koThe par
lipaT ke so.e jo us gul-badan ke saath 'nazīr'
tamām ho ga.iiñ hal mushkilāt koThe par