Nazeer Akbarabadi

mera dil hai mushtaq us gul-badan ka

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
mirā dil hai mushtāq us gul-badan kā
ki ye baaġh ik gul hai jis ke chaman kā
vahī zulf hai jis kī nik.hat se ab tak
paḌā ḳhuun sūkhe hai mushk-e-ḳhutan kā
vahī la.al-e-lab hai ki hasrat se jis ke
jigar aaj tak ḳhuuñ hai la.al-e-yaman kā
ajab sair dekhī 'nazīr' us chaman kī
abhī vasl thā nargis-o-tastaran kā
abhī yak-digar jam.a the sumbul-o-gul
abhī thā baham josh sarv-o-saman kā
abhī chahchahe bulbuloñ ke ayaañ the
abhī shor thā qumrī-e-na.ara-zan kā
ghaḌī bhar ke hī ba.ad dekhā ye aalam
ki nām-o-nishāñ bhī na vaañ thā chaman kā
Top Urdushayar.com