Nazeer Akbarabadi

aaya nahin jo kar kar iqrar hanste hanste

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
aayā nahīñ jo kar kar iqrār hañste hañste
jul de gayā hai shāyad ayyār hañste hañste
itnā na hañs dil us se aisā na ho ki chanchal
laḌne ko tujh se hove tayār hañste hañste
le kar sarīh dil ko vo gul-izār yaaro
zāhir kare hai kyā kyā inkār hañste hañste
hañs hañs ke chheḌ us ko zinhār tū na ai dil
hogā gale kā tere ye haar hañste hañste
hañsne kī aan dikhlā letā hai dil ko gul-rū
kartā hai shoḳh yaaro be-kār hañste hañste
jhuñjhlā ke haal dil kā kahnā nahīñ ravā hai
laa.eq yahāñ to karnā inkār hañste hañste
dastār surḳh saj kar turra zarī kā rakh kar
aayā jo dil ko lene dildār hañste hañste
āñkheñ laḌā ke us ne hañs kar nigah kī aisī
jo le gayā dil āḳhir ḳhuñḳhār hañste hañste
aayā hai dekhne ko tere 'nazīr' ai gul
dikhlā de Tuk tū us ko dīdār hañste hañste
Top Urdushayar.com