Nazeer Akbarabadi

sahar jo nikla main apne ghar se to dekha ek shoKH husn wala

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
sahar jo niklā maiñ apne ghar se to dekhā ik shoḳh husn vaalā
jhalak vo mukhḌe meñ us sanam ke ki jaise sūraj meñ ho ujālā
vo zulfeñ us kī siyāh pur-ḳham ki un ke bal aur shikan ko yaaro
na pahuñche sumbul na pahuñche raihāñ na pahuñche nāgin na pahuñche kaalā
adā.eñ bāñkī ajab tarah kī vo tirchhī chitvan bhī kuchh tamāsha
bhañveñ vo jaise khiñchī kamāneñ palak sināñ-kash nigāh bhālā
vo āñkheñ mast aur gulābī us kī ki un ko dekhe to dekhte hī
mai-e-mohabbat kā us kī dil ko ho kyā hī gahrā nasha do-bālā
laboñ pe surḳhī vo paan kī kuchh ki la.al bhī munfa.il ho jis se
vo aan hañsne kī bhī phir aisī ki jis kā aalam hai kuchh nirālā
vo jāma-zebī vo dil-farebī vo saj-dhaj us kī vo qadd-e-zebā
ki dekh jis par fidā hoñ dil se vo jin ko kahte haiñ sarv-e-bālā
nigah laḌā.ī hai us ne jis dam jhaTak liyā jhap to dil ko mere
adā adā ne idhar dabochā palak palak ne udhar uchhālā
jo le liyā dil ko mere yaaro to us ne lī raah apne ghar kī
paḌā taḌaptā maiñ rah gayā vaañ zabāñ pe aah aur laboñ pe naala
bahut ye maiñ ne to chāhā pūchhūñ maiñ naam us kā vale vo gul-rū
na mujh se bolā na kī ishārat na dī tasallī na kuchh sambhālā
parī-ruḳh-e-man shakar-lab-e-man va mai tū baaz aa ba-pesh-e-chashmam
ba-yād-e-sarv-e-tū be-qarāram nihāl-e-ishqat shud-ast baalā
fidā-e-vajhak ashī-e-sharqan va mau-e-nahran va man firāqak
kasīr-e-huznā ma.al-humūme saqīl-e-hijrā va kal-jibālā
tusā de milne nuuñ dil hai be-kal ehī o gallāñ nit ākhadā hai
sadā le mainūñ de apne ghar vich nahīñ to itthe asā de naal aa
tumhārī aasā lagī hai nis din tumhāre darshan ko tarseñ naināñ
dulāre sundar anūThe abran haTīle mohan anokhe laalā
chahan ke man ko jo chhannanūñ thī ai yaar kaa.eñ lagā.ī itnī
bharā.etīñ aa kar khabar lo mhaañ kī palak kaTārā jo thaañ ne ghālā
agan barat hai hiyā meñ more birah meñ tere ai man-muhanvāñ
tore jo naināñ ne mohā mohko na jīnūñ tinko bhavā vakhālā
jagat sabahhā amat barahmukh aTak kahasvā maman karan khā
divānī kenī tuman surījan na sudh kī gar par na budh kī jhālā
kabhī to hañs kar shitāb aa jā 'nazīr' kī bhī taraf Tuk ai jaañ
banā ke saj-dhaj phirā ke dāman lagā ke Thokar hilā ke baalā
Top Urdushayar.com