Nazeer Akbarabadi

buton ki kakulon ke dekh kar pech

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
butoñ kī kākuloñ ke dekh kar pech
paḌe haiñ dil pe kyā kyā pech par pech
tarīq-e-ishq be-rahbar na ho tai
ki hai ye rah nihāyat pech-dar-pech
na hove dil kī tukkal kaT ke barbād
agar Daale na vo tār-e-nazar pech
vo zulf us kī jo hai pur-pech o pur-ḳham
kamand-e-jāñ hai ai dil us kā har pech
'nazīr' ik roz apne zaḳhm-e-sar ko
jo bāñdhā ham ne de kar beshtar pech
nazar karte hī us sarkash ne ik baar
kahā kar ke suḳhan kā muḳhtasar pech
duā diije hamārī teġh ko aaj
ki jis ne aap ko baḳhshā ye sar-pech
Top Urdushayar.com