ḳhudā asar se bachā.e is āstāne ko
duā chalī hai mirī qismat āzmāne ko
na pūchhiye ki mohabbat meñ mujh pe kyā guzrī
na chheḌiye mire bhūle hue fasāne ko
ye shobade ye karishme kise mayassar the
tirī nigāh ne sikhlā diye zamāne ko
chaman meñ barq ne jhāñkā ki ham laraz uThe
ab is se aag hī lag jaa.e āshiyāne ko
ḳhayāl-e-yār bhī khoyā huā sā rahtā hai
ab un kī yaad bhī aatī hai bhuul jaane ko
nigāh-e-lutf na farmā nigāh-e-nāz ke baad
jigar meñ aag lagā kar na aa bujhāne ko
zamāna bar-sar-e-āzār thā magar 'fānī'
taḌap ke ham ne bhī taḌpā diyā zamāne ko