Nazeer Akbarabadi

aaghosh-e-tasawwur mein jab maine use maska

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
āġhosh-e-tasavvur meñ jab maiñ ne use maskā
lab-hā-e-mubārak se ik shor thā ''bas bas'' kā
sau baar harīr us kā maskā nigah-e-gul se
shabnam se kab ai bulbul pairāhan-e-gul maskā
us tan ko nahīñ tāqat shabnam ke talabbus se
ai dast-e-havas is par tū qasd na kar mas kā
maltī hai parī āñkheñ aur huur jabīñ sā hai
hai naqsh-e-jahāñ yaaro us pā-e-muqaddas kā
tar rakhiyo sadā yā-rab tū is mizha-e-tar ko
ham itr lagāte haiñ garmī meñ isī ḳhas kā
is girya-e-ḳhūnīñ kī daulat se 'nazīr' apne
ab kalba-e-ahzāñ meñ kul farsh hai atlas kā
Top Urdushayar.com