Nazeer Akbarabadi

teri qudrat ki qudrat kaun pa sakta hai kya qudrat

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
tirī qudrat kī qudrat kaun pā saktā hai kyā qudrat
tire aage koī qādir kahā saktā hai kyā qudrat
tū vo yaktā-e-mutlaq hai ki yaktā.ī meñ ab terī
koī shirk-e-duī kā harf lā saktā hai kyā qudrat
zamīñ se āsmāñ tak tū ne jo jo rañg rañge haiñ
ye rañg-āmeziyāñ koī dikhā saktā hai kyā qudrat
hazāroñ gul hazāroñ gul-badan tū ne banā Daale
koī miTTī se aise gul khilā saktā hai kyā qudrat
hue haiñ nuur se jin ke zamīn o āsmāñ paidā
koī ye chāñd ye sūraj banā saktā hai kyā qudrat
havā ke farq par koī banā kar abr kā ḳhema
tanābeñ tār-e-bārāñ kī lagā saktā hai kyā qudrat
jam o askandar o daarā o kekā.ūs o keḳhusrau
koī is Dhab ke dil bādal banā saktā hai kyā qudrat
kiyā namrūd ne go kibr se da.avā ḳhudā.ī kā
kahīñ us kā ye da.avā pesh jā saktā hai kyā qudrat
nikālā tere ik pushte ne kafshīñ mār-e-maġhz us kā
sivā tere ḳhudā koī kahā saktā hai kyā qudrat
nikāle lakḌiyoñ se tū ne jis jis lutf ke meve
koī peḌoñ meñ ye peḌe lagā saktā hai kyā qudrat
tire hī ḳhvān-e-ne.amat se hai sab kī parvarish varna
koī chyūñTī se hāthī tak khilā saktā hai kyā qudrat
hamārī zindagānī ko baġhair az terī qudrat ke
koī paanī ko paanī kar bahā saktā hai kyā qudrat
tire husn-e-tajalli kā jahāñ zarra jhamak jaave
to phir muusā koī vaañ taab lā saktā hai kyā qudrat
dam-e-īsā meñ vo tāsīr thī terī hī qudrat kī
vagarna koī murde ko jilā saktā hai kyā qudrat
tū vo mahbūb chanchal hai ki bār-e-nāz ko tere
baġhair-az-mustafā koī uThā saktā hai kyā qudrat
'nazīr' ab tab.a par jab tak na faizān-e-ilāhī ho
koī ye lafz ye mazmūñ banā saktā hai kyā qudrat
Top Urdushayar.com