thī chhoTī us ke mukhḌe par kal zulf-e-musalsal aur tarah
phir dekhā aaj to us gul ke the kākul ke bal aur tarah
vo dekh jhiḌaktā hai ham ko kar ġhussa har dam aur hameñ
hai chain usī ke milne se zinhār nahīñ kal aur tarah
ma.alūm nahīñ kyā baat kahī ġhammāz ne us se jo ham se
thiiñ pahlī bāteñ aur namat ab bole hai chanchal aur tarah
dil mujh se us ke milne ko kahtā hai to us ke paas mujhe
jab le pahuñchā thā bhes badal phir ab ke le chal aur tarah
hai kitne dinoñ se ishq 'nazīr' us yaar kā ham ko jis kī haiñ
sub.h aur biran shaam aur phaban aaj aur duvah kal aur tarah