Nazeer Akbarabadi

jaan bhi ba-jaan hai hijr mein aur dil figar bhi

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
jaañ bhī ba-jāñ hai hijr meñ aur dil figār bhī
tar hai mizha bhī ashk se jeb bhī aur kanār bhī
turfa fusūñ-sarisht hai chashm-e-karishma-sanj-e-yār
letī hai ik nigāh meñ sabr bhī aur qarār bhī
kūche meñ us ke baiThnā husn ko us ke dekhnā
ham to isī ko samjhe haiñ baaġh bhī aur bahār bhī
dekhiye kyā ho be-tarah dil kī lage haiñ ghaat meñ
ġhamza-e-pur-fareb bhī ishva-e-sehr-kār bhī
zulf ko bhī hai dam-ba-dam azm-e-kamand-e-afganī
daam liye hai musta.id turra-e-tābdār bhī
baiThe butoñ kī bazm meñ jin kī hai qadr jab vo log
apne fareb-o-fan se vaañ thā ye ḳharāb-o-ḳhvār bhī
ginñe lage vo apne jab chāhne vāloñ ko 'nazīr'
uTh ke yakāyak us ghaḌī ham ne kahā ''haiñ yaar bhī''
Top Urdushayar.com