Nazeer Akbarabadi

mujhe is jhamak se aaya nazar ek nigar-e-rana

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
mujhe is jhamak se aayā nazar ik nigār-e-ra.anā
ki ḳhur us ke husn-e-ruḳh ko lagā takne zarra-āsā
ḳhad-o-ḳhāl ḳhūbī-āgīñ lab-e-lāl paañ se rañgīñ
nazar āfat-e-dil-o-dīñ mizha sad-muzarrat-afzā
paḌī ruḳh pe zulf-e-pur-ḳham misī rashk-e-rañg-e-nīlam
ġharaz is tarah kā aalam ki parī kahe ahā-hā
kahā ham ne ai saman-bar parī-chehra mahr-paikar
jo chalī ho yuuñ jhamak kar kaho azm hai kidhar kā
hai ye vaqt-e-sair-e-bustāñ phaleñ ham bhī saath ai jaañ
kahā sun ke ye are myaañ koī tum bhī ho tamāshā
hai ye āshnā.ī aglī na shanāḳht ik do din kī
jo hai dil-dahī kī marzī to hai loch phir ye kaisā
kahā jab 'nazīr' ham ne ''yahī dil haiñ ham to rakhte''
to kahā jo nekī hove to phir us kā pūchhnā kyā
Top Urdushayar.com