Nazeer Akbarabadi

lo na hans hans ke tum aghyar se gul-daston se

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
lo na hañs hañs ke tum aġhyār se gul-dastoñ se
itnī zid bhī na rakho apne jigar-ḳhastoñ se
fundaqeñ bazm meñ dekh us ke sar-añgushtoñ se
rishta-e-rabt ne lī raah kaf-e-dastoñ se
rū-ba-rū hove jo chashmān-e-butāñ se ai dil
Darte rahnā hī munāsib hai siyah-mastoñ se
dast-e-sayyād se chhūTe to uchhal pai-dar-pai
varna kyā fā.eda ai āhu-e-dil astoñ se
pesh jaatī nahīñ hargiz koī tadbīr 'nazīr'
kaam jab aan ke paḌtā hai zabardastoñ se
Top Urdushayar.com