Nazeer Akbarabadi

hai ab to wo hamein us sarw-e-sim-bar ki talab

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
hai ab to vo hameñ us sarv-e-sīm-bar kī talab
ki tā.irān-e-havā se hai bāl-o-par kī talab
jo kahiye husn ko ḳhvāhish nahīñ ye kyā imkāñ
use bhī ahl-e-nazar se hai ik nazar kī talab
kamāl-e-ishq bhī ḳhālī nahīñ tamannā se
jo hai ik aah to us ko bhī hai asar kī talab
parī-ruḳhoñ ko ġharaz kyā thī zeb-o-zīnat se
na hotī gar unheñ apne nazāra-gar kī talab
talab se kis ko rihā.ī hai bahr-e-hastī meñ
agar sadaf hai to us ko bhī hai guhar kī talab
chaman meñ bulbul-o-gul bhī haiñ apne matlab ke
ise hai gul kī talab us ko musht-e-zar kī talab
jahāñ vo bāġh-e-tamannā hai jis ke biich 'nazīr'
jo ik shajar hai to us ko bhī hai samar kī talab
Top Urdushayar.com