Nazeer Akbarabadi

wo chandni mein jo Tuk sair ko nikalte hain

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
vo chāñdnī meñ jo Tuk sair ko nikalte haiñ
to mah ke tasht meñ ghī ke charāġh chalte haiñ
paḌe havas hī havas meñ hamesha galte haiñ
hamāre dekhiye armān kab nikalte haiñ
hujūm-e-āh hai āñkhoñ se ashk Dhalte haiñ
bhare haiñ chaav jo dil meñ so yuuñ nikalte haiñ
charāġh-e-sub.h ye kahtā hai āftāb ko dekh
ye bazm tum ko mubārak ho ham to chalte haiñ
ba-rañg-e-ashk kabhī gir ke ham na sambhle aah
yahī kahā kiye jī meñ ki ab sambhalte haiñ
nikāltā hai hameñ phir vo apne kūche se
abhī to nikle nahīñ haiñ par ab nikalte haiñ
fidā jo dil se hai in shoḳh sabza rañgoñ par
ye zālim us kī hī chhātī pe muuñg dalte haiñ
huā nahīf bhī yaañ tak ki hazrat-e-majnūñ
ye mujh se kahte haiñ aur haath apne malte haiñ
koī to pagḌī badaltā hai aur se lekin
miyāñ 'nazīr' ham ab tum se tan badalte haiñ
Top Urdushayar.com