aaj to hamdam azm hai ye kuchh ham bhī rasmī kaam kareñ
kilk uThā kar yaar ko apne nāma-e-shauq arqām kareñ
ḳhūbī se alqāb likheñ ādāb bhī ḳhush-ā.īnī se
ba.ad is ke ham tahrīr mufassal furqat ke ālām kareñ
yā ḳhud aave aap idhar yā jald bulāve ham ko vahāñ
is matlab ke likhne ko bhī ḳhuub sā sar-anjām kareñ
husn ziyāda aan mo.assir naaz kī shoḳhī ho vo chand
aise kitne harf likheñ aur naa.e ko ashmām kareñ
sun kar vo hañs kar yuuñ bolā ye to tumheñ hai fikr abas
aql jinheñ hai vo to hargiz ab na ḳhayāl-e-ḳhām kareñ
kaam yaqīnan hai vahī achchhā jo ki ho apne mauqa.a se
baat kaheñ yā naama likheñ yaaro sub.h se shaam kareñ
is meñ bhalā kyā hāsil hogā soch to dekho miyāñ 'nazīr'
vo to ḳhafā ho pheñk de ḳhat aur log tumheñ bad-nām kareñ