gale se dil ke rahī yuuñ hai zulf-e-yār lipaT
ki juuñ sapere kī gardan meñ jaa.e maar lipaT
maze uThāte qamar-bañd kī tarah se agar
kamar se yaar kī jaate ham ek baar lipaT
hamāre paas vo aayā to khol kar āġhosh
ye chāhā jāveñ ham us se ba-inkisār lipaT
vahīñ vo duur sarak kar itaab se bolā
hamāre saath na ho kar tū be-qarār lipaT
hameñ jo chāheñ to lapTeñ 'nazīr' ab varna
tū chāhe lipTe so mumkin nahīñ hazār lipaT