Nazeer Akbarabadi

dekh kar kurte gale mein sabz dhani aap ki

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
dekh kar kurte gale meñ sabz dhānī aap kī
dhaan ke bhī khet ne ab aan maanī aap kī
kyā ta.ajjub hai agar dekhe to murda jī uThe
chain nefa kī Dhalak peḌū pe aanī aap kī
ham to kyā haiñ dil farishtoñ kā bhī kāfir chhīn le
Tuk jhalak dikhlā ke phir añgiyā chhupānī aap kī
aa paḌī do-sau baras ke murda-e-be-jāñ meñ jaan
jis ke uupar do ghaḌī ho mehrbānī aap kī
ik lipaT kushtī kī ham se bhī to kar dekho zarā
haañ bhalā ham bhī to jāneñ pahlvānī aap kī
chhalle ġhairoñ paas hai vo ḳhātam-e-zar ai nigār
hai hamāre paas bhī ab tak nishānī aap kī
Top Urdushayar.com