Fani Badayuni

tera nigah-e-shauq koi raaz-dan na tha

Fani Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1879-1941
terā nigāh-e-shauq koī rāz-dāñ na thā
āñkhoñ ko varna jalva-e-jānāñ kahāñ na thā
ālam-e-juz-e'tibār-e-nihāñ-o-ayāñ na thā
yaanī ki tū ayaañ na huā aur nihāñ na thā
ab tak tirī galī meñ ye rusvā.iyāñ na thiiñ
ab tak to is zamīñ pe koī āsmāñ na thā
kyā din the jab ma.āl-e-vafā kī ḳhabar na thī
vo din bhī the ki hāl-e-vafā dāstāñ na thā
talqīn-e-sabr dil se to koī dushmanī na thī
dekhā ye haal qābil-e-sharh-o-bayāñ na thā
mafhūm-e-kā.enāt tumhāre sivā nahīñ
tum chhup ga.e nazar se to saarā jahāñ na thā
har shāḳh har shajar se na thā bijliyoñ ko laag
har shāḳh har shajar pe mirā āshiyāñ na thā
āġhosh-e-maut meñ tah-e-dāmān-e-yār huuñ
vo din ga.e ki mujh pe koī mehrbāñ na thā
āzurda thā ki zabt-e-fuġhāñ meñ asar nahīñ
sharminda huuñ ki zabt-e-fuġhāñ rā.egāñ na thā
ho bhī chuke the dām-e-mohabbat meñ ham asiir
aalam abhī ba-qaid-e-zamān-o-makāñ na thā
allāh re be-niyāzi-e-ādāb-e-iltifāt
dekhā mujhe to paa.e nazar darmiyāñ na thā
mere dil-e-ġhuyūr kā husn-e-talab to dekh
goyā zabāñ pe harf-e-tamannā girāñ na thā
tū ne karam kiyā to ba-unvān-e-ranj-e-zīst
ġham bhī mujhe diyā to ġham-e-jāvedāñ na thā
'fānī' fusūn-e-maut kī tāsīr dekhnā
Thahrā vo dil ki jis pe sukūñ kā gumāñ na thā
Top Urdushayar.com