Nazeer Akbarabadi

yak-ba-yak hogi siyahi is qadar jati rahi

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
yak-ba-yak hogī siyāhī is qadar jaatī rahī
kyā kaheñ goyā siyāhī yak sar-e-mū bhī na thī
go safedī mū kī yuuñ raushan hai juuñ āb-e-hayāt
lekin apnī to isī zulmāt se thī zindagī
dam-ba-dam bazm-e-surūr o har ghaḌī sair-e-chaman
ishrat-o-aish-o-nashāt o ḳhurmī o tāzgī
ḳhanda-e-shādī se hargiz lab na hote the baham
sāġhar o miinā surūd o raqs o ḳhush-tab.ī hañsī
jaam detā thā udhar saaqī ba-minnat haath joḌ
is taraf kyā kyā lagāvaT dilbaroñ kī thī na.ī
gul-badan karte the kis kis taur iz.hār-e-ishtiyāq
ġhuncha-lab milte the sau sau dil meñ rakh kar be-kalī
koī detā thā mohabbat se gale meñ haath Daal
koī detā thā zabardastī se bosa har ghaḌī
koī detā thā mohabbat se gale meñ haath Daal
koī detā thā zabardastī se bosa har ghaḌī
jis taraf the dekhte aish-o-tarab kā josh thā
mastī o rindī havas-bāzī o be-añdeshgī
aan kar mū kī safedī ne ye kiiñ barbādiyāñ
khol diiñ jitnī bañdhīñ thiiñ vo havā.eñ aish kī
qad meñ ḳham āñkhoñ meñ nam chehre pe jhurrī rañg zard
sar se pā tak saḳht nā-ḳhush manzarī bad-hai.atī
kyā tamāshe inqalāb-e-charḳh ke kahiye 'nazīr'
dam meñ vo raunaq thī aur ek dam meñ ye be-raunaqī
Top Urdushayar.com