Nazeer Akbarabadi

kya ada kiya naz hai kya aan hai

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
kyā adā kiyā naaz hai kyā aan hai
yaañ parī kā husn bhī hairān hai
huur bhī dekhe to ho jaave fidā
aaj is aalam kā vo insān hai
us ke rañg-e-sabz kī hai chiiñ meñ dhuum
kyuuñ na ho āḳhir ko hindostān hai
jān-o-dil ham nazr ko laa.e haiñ aaj
lījiye ye dil hai aur ye jaan hai
dil bhī hai dil se tasadduq aap par
jaan bhī jī-jān se qurbān hai
dil kahāñ pahlū meñ jo ham deñ tumheñ
ye to ghar ik umr se vīrān hai
aql o hosh o sabr sab jaate rahe
haañ magar ik-ādh mui sī jaan hai
vo bhī gar lenī hoñ to le jā.iye
ḳhair ye bhī aap kā ehsān hai
aan kar mil tū 'nazīr' apne se jaan
ab vo koī aan kā mehmān hai
Top Urdushayar.com