ai mirī jaan hamesha ho tirī jaan kī ḳhair
nāzukī daur-e-balā, husn ke sāmān kī ḳhair
raat din shaam sahar pahar ghaḌī pal saa.at
māñgte jaatī hai ham ko tirī aan aan kī ḳhair
mehñdī choTī ho sivā.ī ho chamak peTī kī
umr choTī kī baḌī zulf-e-pareshān kī ḳhair
be-tarah bojh se jhumkoñ ke jhuke paḌte haiñ
kiijo allāh tū un jhumkoñ kī aur kaan kī ḳhair
paan khāyā hai to is vaqt bhī lāzim hai yahī
ek bosa hameñ diije lab-o-dandān kī ḳhair
aañkh uThā dekhiye aur dekh ke hañs bhī diije
apne kājal kī zakāt aur misī-o-pān kī ḳhair
pahle jis aan tumhārī ne liyā dil ham se
ab talak māñgte haiñ dil se ham us aan kī ḳhair
kyā ġhazab nikle hai ban-Than ke vo kāfir yaaro
aaj hotī nazar aatī nahīñ īmān kī ḳhair
jitne mahbūb parī-zād haiñ duniyā meñ 'nazīr'
sab ke allāh kare husn kī aur jaan kī ḳhair