kyuuñ na ho baam pe vo jalva-numā tīsre din
maah bhī chhup ke nikaltā hai dilā tīsre din
haath se ab to qalam rashk-e-masīhā rakh de
nusḳhe badle haiñ jahāñ ke hukamā tīsre din
ġharq-e-dariyā-e-mohabbat kī nahīñ miltī laash
varna Duubā huā nikle hai sunā tīsre din
dil-e-bīmār rahe ishq meñ kyuuñ kar sarsabz
ḳhaak se daane ko hai nashv-o-numā tīsre din
chhoḌ mat zulf ke maare ko tū dariyā meñ hanūz
saañp ke kaaTe ko dete haiñ bahā tīsre din
ab zarā chashm ke bīmār kā kar apne ilaaj
hotī ma.alūm hai tāsīr-e-davā tīsre din
log kahte haiñ ki haiñ phuul tire kushte ke
mehñdī hātoñ meñ tū qātil lagā tīsre din
umr ik hafta nahīñ baaġh meñ ai gul mat phuul
rañg badle hai zamāne kī havā tīsre din
chaar harf us but-e-pur-ḳhūñ ke upar bhej 'nazīr'
aap se aap jo ho jaa.e ḳhafā tīsre din